Wednesday, 28 November 2007

Dhadkane


Meri Dhadkane sun raha hai khuda,
tujhse bichad na jaun ya hai sada,
teri khamoshi ko samajh na paya koi,
teri mohabbat ko jaana na koi,
Meri dhadkane sun raha hai khuda.
Tujhse door rahkar bhi tujhe bhula na saka,
Meri sila meri zazbaat ko baha na saka,
tere daman mein sar rakhkar so jaunga,
tere hoton ke nami mein kho jaunga,
tere arzoo ko khwab na rahne dunga,
tere tanhai ko saza na hone dunga
Meri Dhadkane sun raha hai khuda,
tujhse bichad na jaun ye hai sada.
Baarish mein bheegi hui khamoshi ki raat,
khuda se karta raha hun yehin faryad,
Tere aane se chand zameen par utar jayega,
Mere aansoo khud ba khud tham jayega,
har taraf khushiyan hogi har waqt,
har taraf meri ibadat ki pehchaan rakh jaunga
har taraf mere khwabon ki tabeer hogi,
har taraf mere sapno ki tasveer bin tere hai adhuri,
Meri Dhadkane sun raha hai khuda,
Tujhse bichad na jaun ye hai sada.
@Jai 9830999369

Wednesday, 14 November 2007

KHAMOSHIYON KE AAGE...


khamoshiyon ke aage kuch bhi nahin, tanhaiyon ke aage kuch bhi nahin hai
un sanson ke aage kuch bhi nahin jo mohabbat ko pehchan na paya us dard ke aage kuch bhi nahin , jo tujhse juda karke mujhe tadpakar maut se rubaru karke meri chahaton ko diwangi ke had tak mujhe sambhala hai, khamoshiyan ke aage kuch bhi nahin hai, sannaton mein teri aane ki aahat ka intezar tha, un baarish ke boondon ka intezar tha jo tumhein bhigoya karti thi , un chandni raaton ke angrayion ka intezar tha jab hum ek dusre mein sama jaate the, shayad meri khushiyon ka intezar tha jo mujhe sirf tumse mila tha par ab khamoshiyon ke aage kuch bhi nahin hai na koi vaada nibhana hai na koi kasmein khaani hai tanhaiyon ke aage kuch bhi nahin hai sirf tumahare saath zindagi nibhani hai, tere aagosh mein sar rakhkar hamesha ke liye so jaana hai aur mohabbat ke kayanat mein har waqt tumhein pana hai.
khamoshiyon ke aage kuch bhi nahin hai. tanhaiyon ke aage kuch bhi nahin hai.
..@Jai

Wednesday, 7 November 2007

Khamoshi


kisi noor ki talash mein bhatkta raha hun ab tak,

shayad ye raat bhi ab khamosh rahegi hamesha ,

koi bandagi nahin hai saath mein khauf hai mohabbat ke rooth jaane ka ,

rukti nahin hai tabdiliyan dil ke andar se,

raat bhi ab khamosh rahegi hamesha.

tanhayiyon ke saath us noor ka naam juban se leta hun ,

wo samne hoti to usey khafa hone na deta,

na zazbaat ko chooney ki koshsish hai meri,

na ashko ko sahara dena hai ,

na koi gumshuda shaqsh ki aah sunne ki kashish hai ,

na kisi ko roney ki izazat dena hai ,

phir bhi raat bhi khamosh rahegi hamesha .

unke na laut aane ke khauf se naraz hun khud se,

ab har waqt har jagah har lamha raat kahomosh rahegi hamesha.

@Jai

Forbidden Love


Close your eyes and look around ,the whispering winds the caressing bodywear the blooming flowers the chirping birds the rivulet flowing teh songs by the fire the autumn rain burning your desire the marriages in winter the birth of new life in spring the parched earth in summer the first drops of rain in july the falling snows in january the closed doors at night the scherzo in paris the samba in the carriebeans the fashion shows in saopaolo the beutiful nymphs in greece the loving mermaids in the sea the first night of the honeymoon the first kiss to your love the couple in love at the bar the sex held within the fire to have you in desire the crossing trains at the stations teh end of the journey in creation the falling stars for wish to lay myself in your bosom to hold you close to my heart the curse of the beggars at the street the cry of the owl in the barn the silence of the graveyeard the falling footsteps of my beloved on the morning dews the opened arms to reach me in heaven teh love that has ended without any exitement and disclosure the distance that stinks as hell making us stay world apart just to feel our love from within and talk about it in our dreams looking at the photographs we exchanged to see each other.
This is all but Forbidden love for us in this life .
Come to me in my arms honey,cross the distance and make the desire more for each other,make it happen which is all but a laughter for each other make thelove grow more and more the crying tears fall no more make the dream in reality as the trust in you is forever open the eyes and see we are in others arms and in love forever .
To End the Forbidden Love Forever.

@Jai

Thursday, 1 November 2007


chand hamare saath hai ,chandni mein aap sharmati hain ,
meri mohabbat aapki kasam hai ,aap na jaane kyun nazare jhukati hain
intezar ka lamha chand ke saath hai ,aap na hain to hamara na hai koi saath
samundar ke ret par likha tha kitne baar aapka naam
phir bhi tanhayiyon ke beech rahkar gujarti nahin hai shaam
waqt tham jata hai aapke saath shayad ye gujarish hai
aap mere saath hain yahin meri sifarish hai
chand hamare saath hai chandni mein aap sharmati hain
meri mohabbat aapki kasam hai ,aap na jaane kyun sharmati hain
chandni ke aagosh mein aapko apne kareeb paakar sochta hun
ye haseen pal jo hamare hain unhein zayar na hone doonga
aapke sikwa ko apne se alag na karunga isi mein ikarar hai
raat ke akelepan mein aapse mohabbat ki khwaish rahti hai
aapse juda hokar na jaane kyun ye tanhai hoti hai
chand hamare saath hai ,chandni mein aap sharmati hain ,
meri mohabbat aapki kasam hai ,aap na jaane kyun nazare jhukati hain
@Jai