
kisi noor ki talash mein bhatkta raha hun ab tak,
shayad ye raat bhi ab khamosh rahegi hamesha ,
koi bandagi nahin hai saath mein khauf hai mohabbat ke rooth jaane ka ,
rukti nahin hai tabdiliyan dil ke andar se,
raat bhi ab khamosh rahegi hamesha.
tanhayiyon ke saath us noor ka naam juban se leta hun ,
wo samne hoti to usey khafa hone na deta,
na zazbaat ko chooney ki koshsish hai meri,
na ashko ko sahara dena hai ,
na koi gumshuda shaqsh ki aah sunne ki kashish hai ,
na kisi ko roney ki izazat dena hai ,
phir bhi raat bhi khamosh rahegi hamesha .
unke na laut aane ke khauf se naraz hun khud se,
ab har waqt har jagah har lamha raat kahomosh rahegi hamesha.
@Jai
No comments:
Post a Comment