Wednesday, 28 November 2007

Dhadkane


Meri Dhadkane sun raha hai khuda,
tujhse bichad na jaun ya hai sada,
teri khamoshi ko samajh na paya koi,
teri mohabbat ko jaana na koi,
Meri dhadkane sun raha hai khuda.
Tujhse door rahkar bhi tujhe bhula na saka,
Meri sila meri zazbaat ko baha na saka,
tere daman mein sar rakhkar so jaunga,
tere hoton ke nami mein kho jaunga,
tere arzoo ko khwab na rahne dunga,
tere tanhai ko saza na hone dunga
Meri Dhadkane sun raha hai khuda,
tujhse bichad na jaun ye hai sada.
Baarish mein bheegi hui khamoshi ki raat,
khuda se karta raha hun yehin faryad,
Tere aane se chand zameen par utar jayega,
Mere aansoo khud ba khud tham jayega,
har taraf khushiyan hogi har waqt,
har taraf meri ibadat ki pehchaan rakh jaunga
har taraf mere khwabon ki tabeer hogi,
har taraf mere sapno ki tasveer bin tere hai adhuri,
Meri Dhadkane sun raha hai khuda,
Tujhse bichad na jaun ye hai sada.
@Jai 9830999369

No comments: