Thursday, 1 November 2007


chand hamare saath hai ,chandni mein aap sharmati hain ,
meri mohabbat aapki kasam hai ,aap na jaane kyun nazare jhukati hain
intezar ka lamha chand ke saath hai ,aap na hain to hamara na hai koi saath
samundar ke ret par likha tha kitne baar aapka naam
phir bhi tanhayiyon ke beech rahkar gujarti nahin hai shaam
waqt tham jata hai aapke saath shayad ye gujarish hai
aap mere saath hain yahin meri sifarish hai
chand hamare saath hai chandni mein aap sharmati hain
meri mohabbat aapki kasam hai ,aap na jaane kyun sharmati hain
chandni ke aagosh mein aapko apne kareeb paakar sochta hun
ye haseen pal jo hamare hain unhein zayar na hone doonga
aapke sikwa ko apne se alag na karunga isi mein ikarar hai
raat ke akelepan mein aapse mohabbat ki khwaish rahti hai
aapse juda hokar na jaane kyun ye tanhai hoti hai
chand hamare saath hai ,chandni mein aap sharmati hain ,
meri mohabbat aapki kasam hai ,aap na jaane kyun nazare jhukati hain
@Jai

No comments: