Friday, 26 October 2007


kyun shawan mein badnam karun khud ko ,
kyun tumhare hooton ko choom lun aaj main ,
kyun baasrish ke boondon ke girne se
ehsaas dilaun tumhein, ki meri mohabbat
tumhare naam ki ibadat karti hai
kyun likh dun un bichde huye kal ki judai ke silah ko
kyun un tanhaiyon ke beech shawan mein khud ko badnaam karun?
kyun un khamoshiyon ke pal mein
tumhare aane ki aahat ka intezar karun main
kyun un shabdon ko rok kar apni narazgi jahir karun main
kyun waqt ko tham jaane ke liye boloon main
har labz har lamha har zazbaat mohabbat ka tohfa hai
kyun shawan mein khud ko badnam karun main?

@Jai

Wednesday, 24 October 2007


waqt ne mujhe aisa sila diya ki akelepan ko maine dost bana liya, na dosti ki kisi se chahat hai , mohabbat ki arzoo hai , dosti aur mohabbat ke zuztazu mein khud ko gumshuda paya , na koi kareeb tha, na koi intezar tha, shaqi se sath tum khoye huye the ,meri aane ki aahat ko pehchan na sake , mustbair hun teri chahat ke liye ,par tumne mujhe apne kareeb na aane diya , na yahan koi dost hai na koi mohabbat ,na ruswayian hai na tanhayiyan, sirf waqt ki sila hai , akelepan ko amine apna dost bana liya. --@Jai

Tuesday, 23 October 2007

Monday, 22 October 2007


दूरी है खामोशी है शब्दों का कोई वजूद नहीं है इंतज़ार है वक़्त है पर हम हैं कहाँ? उन गुफ्तगू का कोई मतलब नहीं जो हमें जुदा करें उन इबादत का कोई मतलब नहीं जो इन्तेहन के पल को जार जार कर दें दूरी है इंतज़ार है खामोशी है हर तरफ कौफ का आगोश है तुम हो तो वक़्त साथ है ,अब दूरी ख़त्म कर दो खामोशी तोड़ दो इबादत को मोहब्बत रहने दो सीमट जाओ मुझमें उन तनहा लम्हों को लौटा दो इजहार कर्लो की तुम्हें भी मोहब्बत है हर अकेलेपन के वो लम्हें हर कशमकश की आहट हर सिस्कियी का नुमाइश अब रोक सकेगा दूरी है खामोशी है अपर तुम्हारी मौजूदगी मेरी मोहब्बत है
@Jai

Roz
Roz aati hai ye dil ki baat ,roz na jaane kitni pareshan karti hai ye raat,
Log dhoondhte hain har waqt shamil hokar har zariye ko, Roz kaisey mulaqat hogi aapse ye jannay ko,har labz aapse hai rubaroo, intezar hai aapki chahat ki ,arzoo waqt ke imtehan aur waqt ke darmiyan tham sa gaya hai ashko ke siva aur kuch na shamil hui hai ab tak ,shaam guzar jaane ki rah dhoodhta hun, andhere ke aine mein do ghunt peekar jee raha hun is bedard zindagi ko, Roz ye falsafa bekarari ka aapse bayan karta hun , Roz kaisey mulaqat hogi aapse ye janney ko aapki aane ki aahat ko sunta hun, Subah ki chadar se aapki chehre ko dil mein liye jaagta hun , Roz ibadat mein mangta hun aapko,waqt guzarta hai ,baarish ki boondon ki aahat aapse khelti hain, makhmali thand ki chadar aapko sametey rahti hai ,rukkar dhoodhta hun us aahat ko, Roz kaisey hogi mulaqat aapse ye janney ko.Roz ibadat mein mangta hun aapko.
----@Jai

Jo ye dil kahe


Jo dil kahta hai aaj karke dekh lein ,
mohabbat ki khwaishiyen barishon ke mausam mein jal jane de,
jo dil kahta hai aaj karke dekh lein ,
un hooton ke gulabon ko choom lun ,
tere bhige labon par apna lab rakh dun ,
un lamhon mein koi na ho tere siwa ,
tere ishq ka dedar karun khamoshiyon ke ahat mein ,
sirf hamari dhadkane hain ,
tere khayalon mein gumshuda hokar mohabbat ko gale lagane de,
jo dil kahta hai aj karke dekh lein,
tera wajood meri ibadat hai ,tera tanha hona meri intezar ka intehan hai ,
tujhse alag rahne ki zustazu meri ishq ka tohfa hai ,
teri bahon mein simat jana meri dewangi hai ,
jo dil kahta hai aaj karke dekh lein ,
un labon ka sharmana fir chipkar muskurana,
bandishon ki parwa kiye bagair mujhse milna,
aur chandni ke niklate hi agosh mein simat jana,
mere kareeb aakar barish ke boondon mein gungunana,
jo dil kahta hai aaj karke dekh lein.
........
@Jai

lonely


Lonely life that made me cry, lonely heart that had no one to share my dreams not to be seen, my breath my thoughts that gave relentless feeling to be with you has been my desire to hold you close the night of loneliness that can make me want you more the kisses that i felt on my bodice and longing to love you more the tears that fell from your eyes and the pain that i felt when i left u and was gone as i stayed lonely as ever again, lonely life that made me cry. ......@Jai

खामोशी--1


Khamoshi aapke labzon mein hai,dewangi mere dil mein hai, aapki mohabbat mere hothon mein hai , aapki tanhai zuban par aakar khamosh kyun hai, un labzon ka intezar hai mujhe ,un aadaton se juda na hona hai , aapki muskurat par jaan kurbaan hai,aapki khamoshi mein ye alfaz hain. mohabbat juda hokar bhi rubaru hai aapke liye, shayad aapke dard ko aah mien nahin apne dhadkan mein sanjoya hai aapki khamoshi mein ye alfaz hai aap chahkar bhi mujhmein sama jaati hain. ishq hai to wajood hai junoon hai aapko apne hothon ke kareeb laane ki , chchu lene ki khwaish hai aapko, labzon ko yun hi khamosh rahne de, aapki khamoshi mein ye alfaz hain.