Monday, 22 October 2007


Roz
Roz aati hai ye dil ki baat ,roz na jaane kitni pareshan karti hai ye raat,
Log dhoondhte hain har waqt shamil hokar har zariye ko, Roz kaisey mulaqat hogi aapse ye jannay ko,har labz aapse hai rubaroo, intezar hai aapki chahat ki ,arzoo waqt ke imtehan aur waqt ke darmiyan tham sa gaya hai ashko ke siva aur kuch na shamil hui hai ab tak ,shaam guzar jaane ki rah dhoodhta hun, andhere ke aine mein do ghunt peekar jee raha hun is bedard zindagi ko, Roz ye falsafa bekarari ka aapse bayan karta hun , Roz kaisey mulaqat hogi aapse ye janney ko aapki aane ki aahat ko sunta hun, Subah ki chadar se aapki chehre ko dil mein liye jaagta hun , Roz ibadat mein mangta hun aapko,waqt guzarta hai ,baarish ki boondon ki aahat aapse khelti hain, makhmali thand ki chadar aapko sametey rahti hai ,rukkar dhoodhta hun us aahat ko, Roz kaisey hogi mulaqat aapse ye janney ko.Roz ibadat mein mangta hun aapko.
----@Jai

No comments: