Monday, 22 October 2007

खामोशी--1


Khamoshi aapke labzon mein hai,dewangi mere dil mein hai, aapki mohabbat mere hothon mein hai , aapki tanhai zuban par aakar khamosh kyun hai, un labzon ka intezar hai mujhe ,un aadaton se juda na hona hai , aapki muskurat par jaan kurbaan hai,aapki khamoshi mein ye alfaz hain. mohabbat juda hokar bhi rubaru hai aapke liye, shayad aapke dard ko aah mien nahin apne dhadkan mein sanjoya hai aapki khamoshi mein ye alfaz hai aap chahkar bhi mujhmein sama jaati hain. ishq hai to wajood hai junoon hai aapko apne hothon ke kareeb laane ki , chchu lene ki khwaish hai aapko, labzon ko yun hi khamosh rahne de, aapki khamoshi mein ye alfaz hain.

No comments: