Tanha hun tere liye bebas hun apni dewangi se
mohabbat hai mera wajood,shamil hun is kadar waqt ka aagaz hai zubaan par
rukta hai har lamha ,kashmakash hai har dhadkan mein ,
mujhse aitbaar hai tumhien ye janney ki koshish karta hun ,
tanha hun tere liye bebas hun apni dewangi se
simat kar har khwaishon ko har zazbaat ko rokta hun
bad naam hai meri chahat tujhe paane ki ijazat chahta hun har lamha
waqt ke andhere mein gum hai meri mohabbat ,roshni ki silvaton se waqif hun wajah kya hai,
tanha hun tere liye bebas hun apni dewangi se ,dar hai tham jayega ye safar
dhoodhta hun un baarish ke boondon ko jo saath saath tumhein chumte the un dinon
waqt pareshan na tha har jagah savera tha,
un vadiyon ki athkheliyon mein seene mein chupa liya karta tha
logon ki guftagu tumhein pareshan karti thi tum chupke se meri bahon mein simat jaati thi
wo lamha ab zayer ho gaya hai haalat ka dosh nahin hai
shayad main hi jyada kushnaseeb hun
tanha hun tere liye bebas hun apni dewangi se.
No comments:
Post a Comment